kahin aag aah-e-sozinda na chhati mein laga deve
kahīñ aag āh-e-sozinda na chhātī meñ lagā deve
ḳhabar hote hī hote dil jigar donoñ jalā deve
bahut ro.e hamāre dīda-e-tar ab nahīñ khulte
matā’-e-āb-dīda hai koī is ko havā deve
tumhāre paañv ghar jaane ko ‘āshiq ke nahīñ uThte
tum aao to tumheñ āñkhoñ pe sar par apne jā deve
dalīl-e-gum-rahī hai ḳhizr jo miltā hai jangal meñ
phire hai aaphī bhūlā kyā hameñ rasta batā deve
ga.e hī jī ke faisal ho niyāz-o-nāz kā jhagḌā
kahīñ vo teġh khīñche bhī ki banda sar jhukā deve
laḌā.ī hī rahī rozoñ meñ bāham be-dimāġhī se
gale se us ke ham ko 'iid ab shāyad milā deve
huā maiñ 'mīr' jo us but se saa.il bosa-e-lab kā
lagā kahne zarāfat se ki shah sāhib ḳhudā deve
kahin aag aah-e-sozinda na chhati mein laga dewe
KHabar hote hi hote dil jigar donon jala dewe
bahut roe hamare dida-e-tar ab nahin khulte
mata’-e-ab-dida hai koi is ko hawa dewe
tumhaare panw ghar jaane ko ‘ashiq ke nahin uThte
tum aao to tumhein aankhon pe sar par apne ja dewe
dalil-e-gum-rahi hai KHizr jo milta hai jangal mein
phire hai aaphi bhula kya hamein rasta bata dewe
gae hi ji ke faisal ho niyaz-o-naz ka jhagDa
kahin wo tegh khinche bhi ki banda sar jhuka dewe
laDai hi rahi rozon mein baham be-dimaghi se
gale se us ke hum ko 'id ab shayad mila dewe
hua main 'mir' jo us but se sail bosa-e-lab ka
laga kahne zarafat se ki shah sahib KHuda dewe
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1269
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.