kaho to kab tain yun sath tere pyar rahe
kaho to kab ta.iiñ yuuñ saath tere pyaar rahe
ki dekhā jab tujhe tab jī ko maar maar rahe
adā-o-nāz se dil le chalā to hañs ke kahā
ki mere paas tumhārā bhī yādgār rahe
ham aap se jo ga.e haiñ ga.e haiñ muddat ke
ilāhī apnā hameñ kab tak intizār rahe
havas asīroñ ke Tuk dil kī nikle kuchh shāyad
koī din aur agar mausam-e-bahār rahe
uThā jo baaġh se maiñ be-dimāġh to na phirā
hazār murġh-e-gulistāñ mujhe pukār rahe
liyā to jaave bhalā naam muñh se yaarī kā
jo ham sitam-zadoñ se yaar kuchh bhī yaar rahe
visāl hijr Thahar jaave kuchh na kuchh āḳhir
jo be-qarār mire dil ko bhī qarār rahe
kareñge chhātī ko gulzār ham jalā kar daaġh
jo gul ke siine meñ aisā hī ḳhār-ḳhār rahe
takūñ huuñ ek sā maiñ gard-e-rāh ko us kī
na kyūñke donoñ mirī āñkhoñ meñ ġhubār rahe
na kariye girya-e-be-iḳhtiyār hargiz 'mīr'
jo ishq karne meñ dil par kuchh iḳhtiyār rahe
kaho to kab tain yun sath tere pyar rahe
ki dekha jab tujhe tab ji ko mar mar rahe
ada-o-naz se dil le chala to hans ke kaha
ki mere pas tumhaara bhi yaadgar rahe
hum aap se jo gae hain gae hain muddat ke
ilahi apna hamein kab tak intizar rahe
hawas asiron ke Tuk dil ki nikle kuchh shayad
koi din aur agar mausam-e-bahaar rahe
uTha jo bagh se main be-dimagh to na phira
hazar murgh-e-gulistan mujhe pukar rahe
liya to jawe bhala nam munh se yari ka
jo hum sitam-zadon se yar kuchh bhi yar rahe
visal hijr Thahar jawe kuchh na kuchh aaKHir
jo be-qarar mere dil ko bhi qarar rahe
karenge chhati ko gulzar hum jala kar dagh
jo gul ke sine mein aisa hi KHar-KHar rahe
takun hun ek sa main gard-e-rah ko us ki
na kyunke donon meri aankhon mein ghubar rahe
na kariye girya-e-be-iKHtiyar hargiz 'mir'
jo ishq karne mein dil par kuchh iKHtiyar rahe
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1883
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.