kahta hai kaun mir ki be-iKHtiyar ro
kahtā hai kaun 'mīr' ki be-iḳhtiyār ro
aisā tū ro ki rone pe tere hañsī na ho
paayā gayā vo gauhar-e-nāyāb sahl kab
niklā hai us ko DhūñDne to pahle jaan kho
kaam us ke lab se hai mujhe bint-ul-inab se kyā
hai āb-e-zindagī bhī to le jaa.e murda-sho
sunte nahīñ kahe jo na kahiye to dam ruke
kuchh pochhiye na qissa hamārā hai go-mago
mash'ar hai be-dimāġhī pe mutlaq na bolnā
ham deñ tumheñ duā hameñ tum gāliyāñ to do
karnā jigar zarūr hai dil dād-gāñ ko bhī
vo boltā nahīñ to tum aaphī se chheḌ lo
ai ġhāfilān-e-dahr ye kuchh raah kī hai baat
chalne ko qāfile haiñ yahāñ tum rahe ho so
gardish meñ jo koī ho rakhe us se kyā umiid
din raat aaphī charḳh meñ hai āsmān to
jab dekhte haiñ paañv hī daabo ho us ke 'mīr'
kyoñ hote ho zalīl tum itnā to mat dabo
kahta hai kaun 'mir' ki be-iKHtiyar ro
aisa tu ro ki rone pe tere hansi na ho
paya gaya wo gauhar-e-nayab sahl kab
nikla hai us ko DhunDne to pahle jaan kho
kaam us ke lab se hai mujhe bint-ul-inab se kya
hai aab-e-zindagi bhi to le jae murda-sho
sunte nahin kahe jo na kahiye to dam ruke
kuchh pochhiye na qissa hamara hai go-mago
mash'ar hai be-dimaghi pe mutlaq na bolna
hum den tumhein dua hamein tum galiyan to do
karna jigar zarur hai dil dad-gan ko bhi
wo bolta nahin to tum aaphi se chheD lo
ai ghafilan-e-dahr ye kuchh rah ki hai baat
chalne ko qafile hain yahan tum rahe ho so
gardish mein jo koi ho rakhe us se kya umid
din raat aaphi charKH mein hai aasman to
jab dekhte hain panw hi dabo ho us ke 'mir'
kyon hote ho zalil tum itna to mat dabo
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1234
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.