kal dil-azurda gulistan se guzar humne kiya
kal dil-āzurda gulistāñ se guzar ham ne kiyā
gul lage kahne kaho muñh na udhar ham ne kiyā
kar ga.ī ḳhvāb se bedār tumheñ sub.h kī baav
be-dimāġh itne jo ho ham pe magar ham ne kiyā
sīdhe talvār ke muñh par tirī ham aa.e chale
kyā kareñ is dil-e-ḳhasta ko sipar ham ne kiyā
nīmcha haath meñ mastī se lahū sī āñkheñ
saj tirī dekh ke ai shoḳh hazar ham ne kiyā
paañv ke nīche kī miTTī bhī na hogī ham sī
kyā kaheñ umr ko is tarah basar ham ne kiyā
khā gayā nāḳhun-e-sar-tez jigar dil donoñ
raat kī sīna-ḳharāshī meñ hunar ham ne kiyā
kaam in hoñToñ se vo le jo koī ham sā ho
dekhte dekhte hī āñkhoñ meñ ghar ham ne kiyā
jaise hasrat liye jaatā hai jahāñ se koī
aah yuuñ kūcha-e-dilbar se safar ham ne kiyā
baare kal Thahr ga.e zālim-e-ḳhuñḳhār se ham
munsifī kiije to kuchh kam na jigar ham ne kiyā
us ruḳh-o-zulf kī tasbīh hai yaañ aksar 'mīr'
vird apnā yahī ab shām-o-sahar ham ne kiyā
kal dil-azurda gulistan se guzar hum ne kiya
gul lage kahne kaho munh na udhar hum ne kiya
kar gai KHwab se bedar tumhein subh ki baw
be-dimagh itne jo ho hum pe magar hum ne kiya
sidhe talwar ke munh par teri hum aae chale
kya karen is dil-e-KHasta ko sipar hum ne kiya
nimcha hath mein masti se lahu si aankhen
saj teri dekh ke ai shoKH hazar hum ne kiya
panw ke niche ki miTTi bhi na hogi hum si
kya kahen umr ko is tarah basar hum ne kiya
kha gaya naKHun-e-sar-tez jigar dil donon
raat ki sina-KHarashi mein hunar hum ne kiya
kaam in honTon se wo le jo koi hum sa ho
dekhte dekhte hi aankhon mein ghar hum ne kiya
jaise hasrat liye jata hai jahan se koi
aah yun kucha-e-dilbar se safar hum ne kiya
bare kal Thahr gae zalim-e-KHunKHar se hum
munsifi kije to kuchh kam na jigar hum ne kiya
us ruKH-o-zulf ki tasbih hai yan aksar 'mir'
wird apna yahi ab sham-o-sahar hum ne kiya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0693
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.