kal raat ro ke subh talak main raha gira
kal raat ro ke sub.h talak maiñ rahā girā
ḳhūñ-bār merī āñkhoñ se kyā jānūñ kyā girā
ab shahr-e-ḳhush-imārat-e-dil kā hai kyā ḳhayāl
nāgāh aa ke ishq ne maarā jalā girā
kyā tai ho raah ishq kī āshiq ġharīb hai
mushkil-guzar tarīq hai yaañ rah girā girā
lāzim paḌī hai kasl-e-dilī ko fatādgī
bīmār-e-ishq rahtā hai aksar paḌā girā
Thahre na us ke ishq kā sar-gashta-o-za.īf
Thokar kahīñ lagī ki rahā sar-phirā girā
de mārne ko takiye se sar Tuk uThā to kyā
bistar se kab uThe hai ġham-e-ishq kā girā
phirtā thā 'mīr' ġham-zada yak umr se ḳharāb
ab shukr hai ki baare kisī dar pe jā girā
kal raat ro ke subh talak main raha gira
KHun-bar meri aankhon se kya jaanun kya gira
ab shahr-e-KHush-imarat-e-dil ka hai kya KHayal
nagah aa ke ishq ne mara jala gira
kya tai ho rah ishq ki aashiq gharib hai
mushkil-guzar tariq hai yan rah gira gira
lazim paDi hai kasl-e-dili ko fatadgi
bimar-e-ishq rahta hai aksar paDa gira
Thahre na us ke ishq ka sar-gashta-o-zaif
Thokar kahin lagi ki raha sar-phira gira
de marne ko takiye se sar Tuk uTha to kya
bistar se kab uThe hai gham-e-ishq ka gira
phirta tha 'mir' gham-zada yak umr se KHarab
ab shukr hai ki bare kisi dar pe ja gira
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1100
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.