karta hun allah allah darwesh hun sada ka
kartā huuñ allah allah darvesh huuñ sadā kā
sarmāya-e-tavakkul yaañ naam hai ḳhudā kā
maiñ ne nikal junūñ se mashq-e-qalandarī kī
zanjīr-e-sar huā hai thā silsila jo pā kā
yārab hamārī jānib ye sang kyoñ hai 'aa.ed
jī hī se mārte haiñ jo naam le vafā kā
kyā faqr meñ guzar ho chashm-e-tama' siiye bin
hai raah tang aisī jaise suī kā naakā
abr aur josh-e-gul hai chal ḳhānqah se suufī
hai lutf mai-kade meñ dah-chand is havā kā
ham vahshiyoñ se muddat mānūs jo rahe haiñ
majnūñ ko shoḳh laḌke kahne lage haiñ kaakā
ālūda ḳhuuñ se nāḳhun haiñ sher ke se har-sū
jangal meñ chal bane to phūlā hai zor Dhāka
ye do hī sūrateñ haiñ yā mun'akis hai 'ālam
yā 'ālam aa.ina hai us yār-e-ḳhud-numā kā
kyā maiñ hī jāñ-ba-lab huuñ bīmārī-e-dilī se
maarā huā hai 'ālam is dard-e-be-davā kā
zulf-e-siyāh us kī rahtī hai chit-chaḌhī hī
maiñ mubtalā huā huuñ ai vaa.e kis balā kā
ġhairat se tang aa.e ġhairoñ se laḌ mareñge
aage bhī 'mīr' sayyad karte ga.e haiñ saakā
karta hun allah allah darwesh hun sada ka
sarmaya-e-tawakkul yan nam hai KHuda ka
main ne nikal junun se mashq-e-qalandari ki
zanjir-e-sar hua hai tha silsila jo pa ka
yarab hamari jaanib ye sang kyon hai 'aed
ji hi se marte hain jo nam le wafa ka
kya faqr mein guzar ho chashm-e-tama' siye bin
hai rah tang aisi jaise sui ka naka
abr aur josh-e-gul hai chal KHanqah se sufi
hai lutf mai-kade mein dah-chand is hawa ka
hum wahshiyon se muddat manus jo rahe hain
majnun ko shoKH laDke kahne lage hain kaka
aaluda KHun se naKHun hain sher ke se har-su
jangal mein chal bane to phula hai zor Dhaka
ye do hi suraten hain ya mun'akis hai 'alam
ya 'alam aaina hai us yar-e-KHud-numa ka
kya main hi jaan-ba-lab hun bimari-e-dili se
mara hua hai 'alam is dard-e-be-dawa ka
zulf-e-siyah us ki rahti hai chit-chaDhi hi
main mubtala hua hun ai wae kis bala ka
ghairat se tang aae ghairon se laD marenge
aage bhi 'mir' sayyad karte gae hain saka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1312
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.