kaT kar girenge rah mein mushtaq alaf se
kaT kar gireñge raah meñ mushtāq 'alaf se
muTh-beḌ agar ho ga.ī us teġh-ba-kaf se
jaatā hai koī dasht-e-arab ko jo bagūlā
kah duuñ huuñ duā majnūñ ko maiñ apnī taraf se
dariyā thā magar aag kā dariyā-e-ġham-e-ishq
sab aable haiñ mere darūne meñ sadaf se
dil aur jigar ye to jale ātish-e-ġham meñ
jī kyūñke bachā.ūñ kaho is aag kī taf se
shab us ke sag-e-kū ne hameñ paas biThāyā
ham apne ta.iiñ duur na kyoñ khīñcheñ sharaf se
chhātī meñ bharī aag hai kyā jis se shab-o-roz
chingāriyāñ girtī haiñ mirī palkoñ kī saf se
ai 'mīr' gadā.ī karūñ darvāze kī us ke
māñgūñ huuñ yahī aaTh pahar shāh-e-najaf se
kaT kar girenge rah mein mushtaq 'alaf se
muTh-beD agar ho gai us tegh-ba-kaf se
jata hai koi dasht-e-arab ko jo bagula
kah dun hun dua majnun ko main apni taraf se
dariya tha magar aag ka dariya-e-gham-e-ishq
sab aable hain mere darune mein sadaf se
dil aur jigar ye to jale aatish-e-gham mein
ji kyunke bachaun kaho is aag ki taf se
shab us ke sag-e-ku ne hamein pas biThaya
hum apne tain dur na kyon khinchen sharaf se
chhati mein bhari aag hai kya jis se shab-o-roz
chingariyan girti hain meri palkon ki saf se
ai 'mir' gadai karun darwaze ki us ke
mangun hun yahi aaTh pahar shah-e-najaf se
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1298
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.