KHub kiya jo ahl-e-karam ke jud ka kuchh na KHayal kiya

KHub kiya jo ahl-e-karam ke jud ka kuchh na KHayal kiya
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
ḳhuub kiyā jo ahl-e-karam ke juud kā kuchh na ḳhayāl kiyā
ham jo faqīr hue to ham ne pahle tark-e-savāl kiyā
rauñd ke jaur se un ne ham ko paañv hinā.ī apne kiye
ḳhuun hamārā bismil-gah meñ kin rangoñ pāmāl kiyā
nikle hai gar ghaas jalī bhī ḳhaak se ulfat kushtoñ kī
ye bālīda sipahr phire hai goyā in ne nihāl kiyā
dil jo hamārā ḳhuun huā thā ranj-o-alam meñ guzrī hameñ
ya.anī mātam us rafta kā ham ne māh-o-sāl kiyā
'mīr' sadā behāl raho ho mehr-o-vafā sab karte haiñ
tum ne ishq kiyā so sāhib kyā ye apnā haal kiyā
KHub kiya jo ahl-e-karam ke jud ka kuchh na KHayal kiya
hum jo faqir hue to hum ne pahle tark-e-sawal kiya
raund ke jaur se un ne hum ko panw hinai apne kiye
KHun hamara bismil-gah mein kin rangon pamal kiya
nikle hai gar ghas jali bhi KHak se ulfat kushton ki
ye baalida sipahr phire hai goya in ne nihaal kiya
dil jo hamara KHun hua tha ranj-o-alam mein guzri hamein
yani matam us rafta ka hum ne mah-o-sal kiya
'mir' sada behaal raho ho mehr-o-wafa sab karte hain
tum ne ishq kiya so sahib kya ye apna haal kiya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1337
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.