KHun na hua dil chahiye jaisa go ab kaam se jawega
ḳhuuñ na huā dil chāhiye jaisā go ab kaam se jāvegā
kaam apne vo kyā aaya jo kaam hamāre āvegā
āñkheñ lagī rahtī haiñ aksar chāk-e-qafas se asīroñ kī
jhoñkā bād-e-bahārī kā gul-barg koī yaañ lāvegā
fitne kitne jam.a hue haiñ zulf-o-ḳhāl-o-ḳhadd-o-qad
koī na koī ahd meñ mere sar in meñ se uThāvegā
ishq meñ tere kyā kyā sun kar yaar ga.ī kar jaate haiñ
ya.anī ġham khāte haiñ bahut ham ġham bhī ham ko khāvegā
ek nigah kī umiid bhī us kī chashm-e-shoḳh se ham ko nahīñ
īdhar ūdhar dekhe gā par ham se aañkh chhupāvegā
ab to javānī kā ye nasha hī be-ḳhud tujh ko rakkhegā
hosh gayā phir āvegā to der talak pachhtāvegā
der se is andeshe ne nākām rakhā hai 'mīr' hameñ
paañv chhueñge us ke ham to vo bhī haath lagāvegā
KHun na hua dil chahiye jaisa go ab kaam se jawega
kaam apne wo kya aaya jo kaam hamare aawega
aankhen lagi rahti hain aksar chaak-e-qafas se asiron ki
jhonka baad-e-bahaari ka gul-barg koi yan lawega
fitne kitne jama hue hain zulf-o-KHal-o-KHadd-o-qad
koi na koi ahd mein mere sar in mein se uThawega
ishq mein tere kya kya sun kar yar gai kar jate hain
yani gham khate hain bahut hum gham bhi hum ko khawega
ek nigah ki umid bhi us ki chashm-e-shoKH se hum ko nahin
idhar udhar dekhe ga par hum se aankh chhupawega
ab to jawani ka ye nasha hi be-KHud tujh ko rakkhega
hosh gaya phir aawega to der talak pachhtawega
der se is andeshe ne nakaam rakha hai 'mir' hamein
panw chhuenge us ke hum to wo bhi hath lagawega
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1339
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.