koshish apni thi abas par ki bahut
koshish apnī thī abas par kī bahut
kyā kareñ ham chāhtā thā jī bahut
kāba-e-maqsūd ko pahuñche na haa.e
sa.ī kī ai shaiḳh ham ne bhī bahut
sab tire mahv-e-duā-e-jān haiñ
aarzū apnī bhī hai tū jī bahut
ruk rahā hai der se taḌpā nahīñ
ishq ne kyoñ dil ko mohlat dī bahut
kyoñ na hoñ duurī meñ ham nazdīk-e-marg
dil ko us ke saath ulfat thī bahut
vo na chāhe jab ta.iiñ hotā hai kyā
jehd kī milne meñ apnī sī bahut
kab sunā harf-e-shugūn-e-vasl-e-yār
yuuñ to fāl-e-gosh ham ne lī bahut
thā qavī āḳhir mile ham ḳhaak meñ
āsmāñ se yuuñ rahī kushtī bahut
aaj darham karte the kuchh guftugū
'mīr' ne shāyad ki daarū pī bahut
koshish apni thi abas par ki bahut
kya karen hum chahta tha ji bahut
kaba-e-maqsud ko pahunche na hae
sai ki ai shaiKH hum ne bhi bahut
sab tere mahw-e-dua-e-jaan hain
aarzu apni bhi hai tu ji bahut
ruk raha hai der se taDpa nahin
ishq ne kyon dil ko mohlat di bahut
kyon na hon duri mein hum nazdik-e-marg
dil ko us ke sath ulfat thi bahut
wo na chahe jab tain hota hai kya
jehd ki milne mein apni si bahut
kab suna harf-e-shugun-e-wasl-e-yar
yun to fal-e-gosh hum ne li bahut
tha qawi aaKHir mile hum KHak mein
aasman se yun rahi kushti bahut
aaj darham karte the kuchh guftugu
'mir' ne shayad ki daru pi bahut
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1118
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.