kya chale jate hain jahan se log
kyā chale jaate haiñ jahān se log
magar aa.e the mehmān se log
qahr hai baat baat par gaalī
jāñ-ba-lab haiñ tirī zabān se log
shahr meñ ghar ḳharāb hai apnā
aate haiñ yaañ ab is nishān se log
ek gardish meñ haiñ barābar ḳhaak
kyā jhagaḌte haiñ āsmān se log
dard-e-dil un ne kab sunā merā
lage rahte haiñ us ke kaan se log
baav se bhī lachak lahak hai unheñ
haiñ yahī sabze dhān-pān se log
shauq meñ tiir se chale ūdhar
ham ḳhamīda-qadāñ kamān se log
aadmī ab nahīñ jahāñ meñ 'mīr'
uTh ga.e is bhī kārvān se log
kya chale jate hain jahan se log
magar aae the mehman se log
qahr hai baat baat par gali
jaan-ba-lab hain teri zaban se log
shahr mein ghar KHarab hai apna
aate hain yan ab is nishan se log
ek gardish mein hain barabar KHak
kya jhagaDte hain aasman se log
dard-e-dil un ne kab suna mera
lage rahte hain us ke kan se log
baw se bhi lachak lahak hai unhen
hain yahi sabze dhan-pan se log
shauq mein tir se chale udhar
hum KHamida-qadan kaman se log
aadmi ab nahin jahan mein 'mir'
uTh gae is bhi karwan se log
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1423
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.