kya karen bekas hain hum bebas hain hum be-ghar hain hum

kya karen bekas hain hum bebas hain hum be-ghar hain hum
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
kyā kareñ bekas haiñ ham bebas haiñ ham be-ghar haiñ ham
kyūñkar uḌ kar pahuñcheñ us tak tā.ir-e-be-par haiñ ham
sar na bālīñ se uThāveñ kāshke bīmār-e-'ishq
hogā yak hangāma barpā fitna zer-e-sar haiñ ham
sau taraf le jaatī hai ham ko pareshāñ-ḳhātirī
yaañ kise DhūñDo ho tum kyā jāniye kīdhar haiñ ham
gar na ro.eñ kyā kareñ har chār-sū hai bekasī
be-dil-o-be-tāqat-o-be-dīn-o-be-dil-bar haiñ ham
vo jo rashk-e-mah kabhī is raah se niklā na 'mīr'
ham na rakhte the sitāra yā'nī bad-aḳhtar haiñ ham
kya karen bekas hain hum bebas hain hum be-ghar hain hum
kyunkar uD kar pahunchen us tak tair-e-be-par hain hum
sar na baalin se uThawen kashke bimar-e-'ishq
hoga yak hangama barpa fitna zer-e-sar hain hum
sau taraf le jati hai hum ko pareshan-KHatiri
yan kise DhunDo ho tum kya jaaniye kidhar hain hum
gar na roen kya karen har chaar-su hai bekasi
be-dil-o-be-taqat-o-be-din-o-be-dil-bar hain hum
wo jo rashk-e-mah kabhi is rah se nikla na 'mir'
hum na rakhte the sitara ya'ni bad-aKHtar hain hum
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1680
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.