kya karun main sabr-e-kam ko aur ranj-e-besh ko
kyā karūñ maiñ sabr-e-kam ko aur ranj-e-besh ko
zahr deveñ kāshke ahbāb is darvesh ko
khol āñkheñ sub.h se aage ki sher allāh ke
dekhte rahte haiñ ġhāfil vaqt-e-gurg-o-mesh ko
ishq ke betāb ke āzār meñ mat kar shitāb
jaan dete der lagtī hī nahīñ dil-resh ko
dushman apnā maiñ to fikr-e-dostī hī meñ rahā
ab rakhūñ kyūñkar salāmat jān-e-ishq-andesh ko
muḳhtalat tarsā-e-bachoñ se shīra-ḳhāne meñ rahā
kin ne dekhā masjidoñ meñ 'mīr'-e-kāfir-kesh ko
kya karun main sabr-e-kam ko aur ranj-e-besh ko
zahr dewen kashke ahbab is darwesh ko
khol aankhen subh se aage ki sher allah ke
dekhte rahte hain ghafil waqt-e-gurg-o-mesh ko
ishq ke betab ke aazar mein mat kar shitab
jaan dete der lagti hi nahin dil-resh ko
dushman apna main to fikr-e-dosti hi mein raha
ab rakhun kyunkar salamat jaan-e-ishq-andesh ko
muKHtalat tarsa-e-bachon se shira-KHane mein raha
kin ne dekha masjidon mein 'mir'-e-kafir-kesh ko
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1473
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.