kya koften uThain hijran ke dard-o-gham mein
kyā kofteñ uThā.īñ hijrāñ ke dard-o-ġham meñ
taḌpā hazār naubat dil ek ek dam meñ
go qais muñh ko noche farhād sar ko chīre
ye kyā ajab hai aise hote haiñ log ham meñ
ahl-e-nazar kisū ko hotī hai mahramiyyat
āñkhoñ ke andhe ham to muddat rahe haram meñ
kulfat meñ guzrī saarī muddat to zindagī kī
āsūdgī kā muñh ab dekheñge ham adam meñ
karte haiñ 'mīr' mil kar vaa.iz se habs dam kā
kyā ye bhī aa ga.e haiñ us poch-go ke dam meñ
kya koften uThain hijran ke dard-o-gham mein
taDpa hazar naubat dil ek ek dam mein
go qais munh ko noche farhad sar ko chire
ye kya ajab hai aise hote hain log hum mein
ahl-e-nazar kisu ko hoti hai mahramiyyat
aankhon ke andhe hum to muddat rahe haram mein
kulfat mein guzri sari muddat to zindagi ki
aasudgi ka munh ab dekhenge hum adam mein
karte hain 'mir' mil kar waiz se habs dam ka
kya ye bhi aa gae hain us poch-go ke dam mein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0878
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.