kya kuchh humse zid hai tumko baat hamari uDa do ho
kyā kuchh ham se zid hai tum ko baat hamārī uḌā do ho
lag paḌte haiñ ham tum se to tum auroñ ko lagā do ho
kyā roveñ qadr-o-qīmat ko yahīñ se hai mā'lūm hameñ
kaam hamārā paas tumhāre jo aatā hai bahā do ho
itnī to jā ḳhālī rahī hai bazm-e-ḳhush meñ tumhāre sivā
jin ko kahīñ jāgah nahīñ miltī pahlū meñ un ko jā do ho
zang to jaave dil se hamāre ġhair siyah-rū bad-go ke
khīñch ke to ek aisī lagāo teġh sitam kī tā do ho
sohbat garm hamārī tumhārī sham' patange kī sī hai
yā'nī ho dil-soz jo koī us ko tum to jalā do ho
rang-e-sohbat kis ko dikhāveñ ḳhūbī apnī qismat kī
sāġhar-e-mai dushman ko do ho ham ko zahr mañgā do ho
band nahīñ jo karte ho tum siine ke sūrāḳhoñ ko
jī kī rukan meñ in raḳhnoñ se shāyad dil ko havā do ho
aañkh jhapak jaatī nahīñ tanhā aage chehra-e-raushan ke
maah bhī baiThā jaatā hai jab muñh se naqāb uThā do ho
ġhair se ġhairiyyat hai āsāñ lekin tah kuchh ham ko nahīñ
baat batāveñ kyā ham tum ko tum ham ko to banā do ho
'mīr' haqārat se ham apnī chup rah jaate haiñ jān-jale
tuul hamāre ghuTne ko de kar jaise charāġh baḌhā do ho
kya kuchh hum se zid hai tum ko baat hamari uDa do ho
lag paDte hain hum tum se to tum auron ko laga do ho
kya rowen qadr-o-qimat ko yahin se hai ma'lum hamein
kaam hamara pas tumhaare jo aata hai baha do ho
itni to ja KHali rahi hai bazm-e-KHush mein tumhaare siwa
jin ko kahin jagah nahin milti pahlu mein un ko ja do ho
zang to jawe dil se hamare ghair siyah-ru bad-go ke
khinch ke to ek aisi lagao tegh sitam ki ta do ho
sohbat garm hamari tumhaari sham' patange ki si hai
ya'ni ho dil-soz jo koi us ko tum to jala do ho
rang-e-sohbat kis ko dikhawen KHubi apni qismat ki
saghar-e-mai dushman ko do ho hum ko zahr manga do ho
band nahin jo karte ho tum sine ke suraKHon ko
ji ki rukan mein in raKHnon se shayad dil ko hawa do ho
aankh jhapak jati nahin tanha aage chehra-e-raushan ke
mah bhi baiTha jata hai jab munh se naqab uTha do ho
ghair se ghairiyyat hai aasan lekin tah kuchh hum ko nahin
baat batawen kya hum tum ko tum hum ko to bana do ho
'mir' haqarat se hum apni chup rah jate hain jaan-jale
tul hamare ghuTne ko de kar jaise charagh baDha do ho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1709
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.