kya kya humne ranj uThae kya kya hum bhi shakeba the
kyā kyā ham ne ranj uThā.e kyā kyā ham bhī shakebā the
do din jūñ-tūñ jiite rahe so marne hī ke muhayyā the
ishq kiyā so bāteñ banā.īñ ya.anī sher shi.ār huā
baiteñ jo ve mash.hūr huiiñ to shahroñ shahroñ rusvā the
kyā pagḌī ko pher ke rakhte kyā sar nīche na hotā thā
lutf nahīñ ab kyā kahiye kuchh aage ham bhī kyā kyā the
ab ke visāl qarār diyā hai hijr hī kī sī hālat hai
ek samayñ meñ dil bejā thā to bhī ham ve yakjā the
kyā hotā jo paas apne ai 'mīr' kabhū ve aa jaate
āshiq the darvesh the āḳhir bekas bhī the tanhā the
kya kya hum ne ranj uThae kya kya hum bhi shakeba the
do din jun-tun jite rahe so marne hi ke muhayya the
ishq kiya so baaten banain yani sher shiar hua
baiten jo we mashhur huin to shahron shahron ruswa the
kya pagDi ko pher ke rakhte kya sar niche na hota tha
lutf nahin ab kya kahiye kuchh aage hum bhi kya kya the
ab ke visal qarar diya hai hijr hi ki si haalat hai
ek samayn mein dil beja tha to bhi hum we yakja the
kya hota jo pas apne ai 'mir' kabhu we aa jate
aashiq the darwesh the aaKHir bekas bhi the tanha the
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1526
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.