Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya tarah hai yan jo aae ho to sharmae hue

Meer Taqi Meer

kya tarah hai yan jo aae ho to sharmae hue

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    kyā tarah hai yaañ jo aa.e ho to sharmā.e hue

    baat maḳhfī kahte ho ġhusse se jhunjhlā.e hue

    us mire nau-bāva-e-gulzār-e-ḳhūbī ke huzūr

    aur ḳhūbāñ juuñ ḳhizāñ ke gul haiñ murjhā.e hue

    chhup ke dekhā ham-rahāñ ne us ko so ġhash aa gayā

    haif be-ḳhud ho ga.e ham phir ba-ḳhud aa.e hue

    har zamāñ le le uTho ho teġh baiThā mujh ko dekh

    aa.e ho mastāna kis dushman ke bahkā.e hue

    ghar meñ lagtā nahīñ us bin to ham ho kar udaas

    duur jaate haiñ nikal hijrāñ se ghabrā.e hue

    ek din mū-e-darāz us ke kahīñ dekhe the maiñ

    haiñ gale ke haar ab ve baal bal khaa.e hue

    dushmanī se sāya-e-āshiq ko jo maare hai tiir

    us kamāñ-abrū ke kar 'mīr' hamsā.e hue

    kya tarah hai yan jo aae ho to sharmae hue

    baat maKHfi kahte ho ghusse se jhunjhlae hue

    us mere nau-bawa-e-gulzar-e-KHubi ke huzur

    aur KHuban jun KHizan ke gul hain murjhae hue

    chhup ke dekha ham-rahan ne us ko so ghash aa gaya

    haif be-KHud ho gae hum phir ba-KHud aae hue

    har zaman le le uTho ho tegh baiTha mujh ko dekh

    aae ho mastana kis dushman ke bahkae hue

    ghar mein ji lagta nahin us bin to hum ho kar udas

    dur jate hain nikal hijran se ghabrae hue

    ek din mu-e-daraaz us ke kahin dekhe the main

    hain gale ke haar ab we baal bal khae hue

    dushmani se saya-e-ashiq ko jo mare hai tir

    us kaman-abru ke ja kar 'mir' hamsae hue

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1909
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now