la-ilaji se jo rahti hai mujhe aawargi
lā-'ilājī se jo rahtī hai mujhe āvārgī
kījiye kyā 'mīr' sāhib bandagī bechārgī
kaisī kaisī sohbateñ āñkhoñ ke aage se ga.iiñ
dekhte hī dekhte kyā ho gayā yak-bārgī
rū-e-gul par roz-o-shab kis shauq se rahtā hai baaz
raḳhna-e-dīvār hai yā dīda-e-nazzārgī
ashk-e-ḳhūnīñ aañkh meñ bhar lā ke pī jaatā huuñ maiñ
mohtasib rakhtā hai mujh par tohmat-e-mai-ḳhvārgī
mat fareb-e-sādgī khā un siyah-chashmoñ kā 'mīr'
un kī āñkhoñ se Tapaktī hai baḌī aiyyārgī
la-'ilaji se jo rahti hai mujhe aawargi
kijiye kya 'mir' sahib bandagi bechaargi
kaisi kaisi sohbaten aankhon ke aage se gain
dekhte hi dekhte kya ho gaya yak-bargi
ru-e-gul par roz-o-shab kis shauq se rahta hai baz
raKHna-e-diwar hai ya dida-e-nazzargi
ashk-e-KHunin aankh mein bhar la ke pi jata hun main
mohtasib rakhta hai mujh par tohmat-e-mai-KHwargi
mat fareb-e-sadgi kha un siyah-chashmon ka 'mir'
un ki aankhon se Tapakti hai baDi aiyyargi
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0448
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.