liya chira-dasti se gar mir sar tak
liyā chīra-dastī se gar 'mīr' sar tak
na pahuñchā kabhū haath us kī kamar tak
mujhe niiñd kaisī ki mānind-e-anjum
khulī rahtī haiñ merī āñkheñ sahar tak
uThā paas be-iḳhtyārī se sab kā
bakā baiThe karte haiñ do do pahar tak
dimāġh aur dil haiñ sarāsīma donoñ
sar-e-zaḳhm shāyad ki pahuñchā jigar tak
balā shor-o-hangāma hai dil-zadoñ kā
qayāmat kiye jaa.e hai us ke ghar tak
na de māreñ chaukhaT se sar ko to kahiyo
rasā.ī huā chāhiye us ke dar tak
mohabbat meñ jī se ga.e 'mīr' āḳhir
ḳhabar guftanī hai ye har be-ḳhabar tak
liya chira-dasti se gar 'mir' sar tak
na pahuncha kabhu hath us ki kamar tak
mujhe nind kaisi ki manind-e-anjum
khuli rahti hain meri aankhen sahar tak
uTha pas be-iKHtyari se sab ka
baka baiThe karte hain do do pahar tak
dimagh aur dil hain sarasima donon
sar-e-zaKHm shayad ki pahuncha jigar tak
bala shor-o-hangama hai dil-zadon ka
qayamat kiye jae hai us ke ghar tak
na de maren chaukhaT se sar ko to kahiyo
rasai hua chahiye us ke dar tak
mohabbat mein ji se gae 'mir' aaKHir
KHabar guftani hai ye har be-KHabar tak
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0845
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.