lutf hai kya anwa’-e-sitam jo uske koi bayan kare
lutf hai kyā anvā’-e-sitam jo us ke koī bayān kare
gosh-zad ik din hoveñ kahīñ to be-lutfī se zabān kare
ham to chaah kar us patthar ko saḳht nadāmat khīñchī hai
chaah kare ab vo koī jo chāhat kā armān kare
saude meñ dil ke naf' jo chāhe ḳhām-tama' saudā.ī hai
vārā-sārā 'ishq meñ kaisā jī kā bhī nuqsān kare
hashr ke hangāme meñ chāheñ dād-e-'ishq to husn nahīñ
kāshke yaañ vo zālim apne dil hī meñ dīvān kare
ātish-ḳhū maġhrūr se vaise ohda-barā kyā 'āshiq ho
dil ko jalāve minnat rakkhe jī maare ehsān kare
yumn-e-‘ishq-e-ġham-afzā se kaam nihāyat mushkil hai
ab bhī nahīñ naumīdī dil ko shāyad 'ishq āsān kare
kahne meñ ye baat aatī nahīñ ho sair ḳhudā kī qudrat kī
muuñd kar āñkheñ 'mīr' agar tū dil kī taraf Tuk dhyān kare
lutf hai kya anwa’-e-sitam jo us ke koi bayan kare
gosh-zad ek din howen kahin to be-lutfi se zaban kare
hum to chah kar us patthar ko saKHt nadamat khinchi hai
chah kare ab wo koi jo chahat ka arman kare
saude mein dil ke naf' jo chahe KHam-tama' saudai hai
wara-sara 'ishq mein kaisa ji ka bhi nuqsan kare
hashr ke hangame mein chahen dad-e-'ishq to husn nahin
kashke yan wo zalim apne dil hi mein diwan kare
aatish-KHu maghrur se waise ohda-bara kya 'ashiq ho
dil ko jalawe minnat rakkhe ji mare ehsan kare
yumn-e-‘ishq-e-gham-afza se kaam nihayat mushkil hai
ab bhi nahin naumidi dil ko shayad 'ishq aasan kare
kahne mein ye baat aati nahin ho sair KHuda ki qudrat ki
mund kar aankhen 'mir' agar tu dil ki taraf Tuk dhyan kare
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1492
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.