mahmil-nashin hain kitne KHuddam-e-yar mein yan
mahmil-nashīñ haiñ kitne ḳhuddām-e-yār meñ yaañ
lailā kā ek naaqa so kis qatār meñ yaañ
sun shor kal qafas meñ dil daaġh sab huā hai
kyā phuul gul khile haiñ ab ke bahār meñ yaañ
kab rū-kashī ho merī rone meñ abr tujh se
dariyā bhare haiñ ek ik dāman ke taar meñ yaañ
tum to ga.e dikhā kar Tuk barq ke se jhamke
aaya bahut tafāvut sabr-o-qarār meñ yaañ
ham mar ga.e va-lekin soz-e-darūñ vahī hai
ek aag lag uThī hai kunj-e-mazār meñ yaañ
hijrāñ kī har ghaḌī hai sau sau baras ta.ab se
roz-e-shumār yaaro hai kis shumār meñ yaañ
jin rātoñ 'mīr' ham ko rone kā mashġhala thā
rahtā thā bahr-e-āzam so to kanār meñ yaañ
mahmil-nashin hain kitne KHuddam-e-yar mein yan
laila ka ek naqa so kis qatar mein yan
sun shor kal qafas mein dil dagh sab hua hai
kya phul gul khile hain ab ke bahaar mein yan
kab ru-kashi ho meri rone mein abr tujh se
dariya bhare hain ek ek daman ke tar mein yan
tum to gae dikha kar Tuk barq ke se jhamke
aaya bahut tafawut sabr-o-qarar mein yan
hum mar gae wa-lekin soz-e-darun wahi hai
ek aag lag uThi hai kunj-e-mazar mein yan
hijran ki har ghaDi hai sau sau baras tab se
roz-e-shumar yaro hai kis shumar mein yan
jin raaton 'mir' hum ko rone ka mashghala tha
rahta tha bahr-e-azam so to kanar mein yan
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0886
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.