main jo nazar se uski gaya to wo sargarm-e-kar apna
maiñ jo nazar se us kī gayā to vo sargarm-e-kār apnā
kahne lagā chupkā sā ho kar haa.e dareġh shikār apnā
kyā yaarī kar duur phirā vo kyā kyā un ne fareb kiye
jis ke liye āvāra hue ham chhūTā shahr-o-dayār apnā
haath gale meñ un ne na Daalā maiñ ye galā jā kāTūñgā
ġham ġhusse se dekhiyo hūñgā aaphī gale kā haar apnā
chhātī pe saañp sā phir jaatā hai yaad meñ us ke bāloñ kī
jī meñ lahr aave hai lekin rahtā huuñ man maar apnā
baat kahī talvār nikālī aañkh laḌā.ī jī maare
kyūñke jatāve us se koī rabt mohabbat pyaar apnā
ham ne yaar vafādārī meñ kotāhī taqsīr na kī
kyā roveñ chāhat ke asar ko vo na huā Tuk yaar apnā
rahm kiyā kar lutf kiyā kar pūchh liyā kar āḳhir hai
'mīr' apnā ġham-ḳhvār apnā phir zaar apnā bīmār apnā
main jo nazar se us ki gaya to wo sargarm-e-kar apna
kahne laga chupka sa ho kar hae daregh shikar apna
kya yari kar dur phira wo kya kya un ne fareb kiye
jis ke liye aawara hue hum chhuTa shahr-o-dayar apna
hath gale mein un ne na Dala main ye gala ja kaTunga
gham ghusse se dekhiyo hunga aaphi gale ka haar apna
chhati pe sanp sa phir jata hai yaad mein us ke baalon ki
ji mein lahr aawe hai lekin rahta hun man mar apna
baat kahi talwar nikali aankh laDai ji mare
kyunke jatawe us se koi rabt mohabbat pyar apna
hum ne yar wafadari mein kotahi taqsir na ki
kya rowen chahat ke asar ko wo na hua Tuk yar apna
rahm kiya kar lutf kiya kar puchh liya kar aaKHir hai
'mir' apna gham-KHwar apna phir zar apna bimar apna
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1317
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.