main kya kahun jigar mein lahu mere kam hai kuchh
maiñ kyā kahūñ jigar meñ lahū mere kam hai kuchh
kuchh to alam hai dil kī jagah aur ġham hai kuchh
poshīda to nahīñ hai ki ham nā-tavāñ nahīñ
kapḌoñ meñ yūñhī tum ko hamārā bharam hai kuchh
kyā apne dil dhaḌakne se huuñ maiñ hī dam-ba-ḳhud
jo dekhtā hai mere ta.iiñ so daham hai kuchh
jab se khulī hai nargis-e-mast us kī zulm hai
kyā āj-kal se yaar ko mail-e-sitam hai kuchh
bulbul meñ gul meñ kyā ḳhafagī aa ga.ī hai 'mīr'
āmad-shud-e-nasīm-e-sahar dam-ba-dam hai kuchh
main kya kahun jigar mein lahu mere kam hai kuchh
kuchh to alam hai dil ki jagah aur gham hai kuchh
poshida to nahin hai ki hum na-tawan nahin
kapDon mein yunhi tum ko hamara bharam hai kuchh
kya apne dil dhaDakne se hun main hi dam-ba-KHud
jo dekhta hai mere tain so daham hai kuchh
jab se khuli hai nargis-e-mast us ki zulm hai
kya aaj-kal se yar ko mail-e-sitam hai kuchh
bulbul mein gul mein kya KHafagi aa gai hai 'mir'
aamad-shud-e-nasim-e-sahar dam-ba-dam hai kuchh
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1241
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.