mat aankh hamein dekh ke yun mar diya kar
mat aañkh hameñ dekh ke yuuñ maar diyā kar
ġhamze haiñ balā in ko na sinkār diyā kar
ā.īne kī mash.hūr pareshāñ-nazarī hai
tū saada hai aisoñ ko na dīdār diyā kar
sau baar kahā ġhair se sohbat nahīñ achchhī
us jiif ko majlis meñ na tū baar diyā kar
kyoñ āñkhoñ meñ surme kā tū dumbāla rakhe hai
mat haath meñ in mastoñ ke talvār diyā kar
kuchh ḳhuub nahīñ itnā satānā bhī kisū kā
hai 'mīr' faqīr is ko na āzār diyā kar
mat aankh hamein dekh ke yun mar diya kar
ghamze hain bala in ko na sinkar diya kar
aaine ki mashhur pareshan-nazari hai
tu sada hai aison ko na didar diya kar
sau bar kaha ghair se sohbat nahin achchhi
us jif ko majlis mein na tu bar diya kar
kyon aankhon mein surme ka tu dumbaala rakhe hai
mat hath mein in maston ke talwar diya kar
kuchh KHub nahin itna satana bhi kisu ka
hai 'mir' faqir is ko na aazar diya kar
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0807
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.