mat puchho kuchh apni baaten kahiye to tumko nadamat ho

mat puchho kuchh apni baaten kahiye to tumko nadamat ho
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
mat pūchho kuchh apnī bāteñ kahiye to tum ko nadāmat ho
qad-qāmat ye kuchh hai tumhārā lekin qahr qayāmat ho
rabt-iḳhlās ai dīda-o-dil bhī duniyā meñ ek se hotā hai
lag paḌte ho jis se tis se tum bhī koī malāmat ho
aaj sahar hote hī kuchh ḳhurshīd tire muñh aan chaḌhā
rok sake hai kaun ise sar jis ke aisī shāmat ho
chaah kā da.avā sab karte haiñ māniye kyūñkar be-āsār
ashk kī surḳhī zardī muñh kī ishq kī kuchh to alāmat ho
sarv-o-gul achchhe haiñ donoñ raunaq haiñ gulzār kī ek
chāhiye rū us kā sā rū ho qāmat vaisā qāmat ho
mil baiThe us naa.ī ke se koī ghaḌī jo zāhid to
jitne baal haiñ saare sar meñ vaisī hī us kī hajāmat ho
ho jo irāda yaañ rahne kā rah sakiye to rahiye aap
ham to chale jaate haiñ har dam kis ko qasd-e-iqāmat ho
kis muddat se duurī meñ terī ḳhāk-e-rah se barābar huuñ
kariye ranja-qadam Tuk mujh tak jo kuchh pās-e-qadāmat ho
muñh par us kī teġh-e-sitam ke sīdhā jaanā Thahrā hai
jiinā phir kajdār-o-marez is taur meñ ho Tuk yā mat ho
shor-o-shaġhab ko rātoñ ke hamsā.e tumhāre kyā roveñ
aise fitne kitne uTheñge 'mīr' jī tum jo salāmat ho
mat puchho kuchh apni baaten kahiye to tum ko nadamat ho
qad-qamat ye kuchh hai tumhaara lekin qahr qayamat ho
rabt-iKHlas ai dida-o-dil bhi duniya mein ek se hota hai
lag paDte ho jis se tis se tum bhi koi malamat ho
aaj sahar hote hi kuchh KHurshid tere munh aan chaDha
rok sake hai kaun ise sar jis ke aisi shamat ho
chah ka dawa sab karte hain maniye kyunkar be-asar
ashk ki surKHi zardi munh ki ishq ki kuchh to alamat ho
sarw-o-gul achchhe hain donon raunaq hain gulzar ki ek
chahiye ru us ka sa ru ho qamat waisa qamat ho
mil baiThe us nai ke se koi ghaDi jo zahid to
jitne baal hain sare sar mein waisi hi us ki hajamat ho
ho jo irada yan rahne ka rah sakiye to rahiye aap
hum to chale jate hain har dam kis ko qasd-e-iqamat ho
kis muddat se duri mein teri KHak-e-rah se barabar hun
kariye ranja-qadam Tuk mujh tak jo kuchh pas-e-qadamat ho
munh par us ki tegh-e-sitam ke sidha jaana Thahra hai
jina phir kajdar-o-marez is taur mein ho Tuk ya mat ho
shor-o-shaghab ko raaton ke hamsae tumhaare kya rowen
aise fitne kitne uThenge 'mir' ji tum jo salamat ho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0393
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.