mazhab se mere kya tujhe mera dayar aur
maz.hab se mere kyā tujhe merā dayār aur
maiñ aur yaar aur mirā kārobār aur
chaltā hai kaam marg kā ḳhuub us ke daur meñ
hotī hai gird shahr ke roz ik mazār aur
bande ko in faqīroñ meñ giniye na shahr ke
sāhab ne mere mujh ko diyā e.atibār aur
dil ko to laag hī hai takūñ raah kab talak
is par hai yak azāb-e-shadīd intizār aur
bismil pasand kar ke taḌapnā na dekhnā
hai mere said-pesha kā taur-e-shikār aur
maiñ us kī gard-e-rah kā rahā muntazir bahut
so āñkheñ donoñ lā.īñ mirī ik ġhubār aur
dard-e-sar ab jo ishq kā hai gor tak hai saath
kuchh ye nasha hī aur hai is kā ḳhumār aur
kaahe ko is qarār se thā iztirāb-e-qalb
hotā hai haath rakhne se dil be-qarār aur
kis ko faqīrī meñ sar-o-dil harf kā hai 'mīr'
karte haiñ is dimāġh pe ham inkisār aur
mazhab se mere kya tujhe mera dayar aur
main aur yar aur mera karobar aur
chalta hai kaam marg ka KHub us ke daur mein
hoti hai gird shahr ke roz ek mazar aur
bande ko in faqiron mein giniye na shahr ke
sahab ne mere mujh ko diya eatibar aur
dil ko to lag hi hai takun rah kab talak
is par hai yak azab-e-shadid intizar aur
bismil pasand kar ke taDapna na dekhna
hai mere said-pesha ka taur-e-shikar aur
main us ki gard-e-rah ka raha muntazir bahut
so aankhen donon lain meri ek ghubar aur
dard-e-sar ab jo ishq ka hai gor tak hai sath
kuchh ye nasha hi aur hai is ka KHumar aur
kahe ko is qarar se tha iztirab-e-qalb
hota hai hath rakhne se dil be-qarar aur
kis ko faqiri mein sar-o-dil harf ka hai 'mir'
karte hain is dimagh pe hum inkisar aur
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1137
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.