mehr-e-qayamat chahat aafat fitna fasad bala hai ishq
mehr-e-qayāmat chāhat aafat fitna fasād balā hai ishq
'ishqallāh sayyād unheñ kahiyo jin logoñ ne kiyā hai ishq
ishq se nazm-e-kul hai ya.anī ishq koī nāzim hai ḳhuub
har shai yaañ paidā jo huī hai mauzūñ kar laayā hai ishq
ishq hai bātin us zāhir kā zāhir bātin ishq hai sab
ūdhar ishq hai ālam-e-bālā īdhar ko duniyā hai ishq
daa.ir saa.ir hai ye jahāñ meñ jahāñ tahāñ mutasarrif hai
ishq kahīñ hai dil meñ pinhāñ aur kahīñ paidā hai ishq
mauj-zanī hai 'mīr' falak tak har lujja hai tūfāñ-zā
sar-tā-sar hai talātum jis kā vo aazam dariyā hai ishq
mehr-e-qayamat chahat aafat fitna fasad bala hai ishq
'ishqallah sayyaad unhen kahiyo jin logon ne kiya hai ishq
ishq se nazm-e-kul hai yani ishq koi nazim hai KHub
har shai yan paida jo hui hai mauzun kar laya hai ishq
ishq hai baatin us zahir ka zahir baatin ishq hai sab
udhar ishq hai aalam-e-baala idhar ko duniya hai ishq
dair sair hai ye jahan mein jahan tahan mutasarrif hai
ishq kahin hai dil mein pinhan aur kahin paida hai ishq
mauj-zani hai 'mir' falak tak har lujja hai tufan-za
sar-ta-sar hai talatum jis ka wo aazam dariya hai ishq
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1658
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.