mere aage na shair nam pawen
mire aage na shā.ir naam pāveñ
qayāmat ko magar arse meñ aaveñ
parī samjhe tujhe vahm-o-gumāñ se
kahāñ tak aur ham ab dil chalāveñ
tire āshiq tire rusvā kahā.e
tire ho kar kah ab kis ke kahāveñ
mizāj apnā ġhayūr az-bas paḌā hai
tire ġham meñ kise ḳhātir meñ lāveñ
phire hai shaiḳh majlis hī meñ raqsāñ
idhar aa nikle to ham bhī nachāveñ
nazar ai abr ab mat aa mabādā
kahīñ merī bhī āñkheñ DabDabāveñ
qadam-bosī talak muḳhtār haiñ ġhair
ziyāda lag chaleñ to sar meñ khāveñ
qaaf
na aaya vo to kyā ham nīm-jāñ bhī
baġhair us ke mile duniyā se jāveñ
chalī hai tū to ai jān-e-alam-nāk
Tuk ik rah jā ki ham ruḳhsat ho aaveñ
chalā maqdūr se ġham 'mīr' aage
zamīñ phaT jaa.e yā-rab ham samāveñ
mere aage na shair nam pawen
qayamat ko magar arse mein aawen
pari samjhe tujhe wahm-o-guman se
kahan tak aur hum ab dil chalawen
tere aashiq tere ruswa kahae
tere ho kar kah ab kis ke kahawen
mizaj apna ghayur az-bas paDa hai
tere gham mein kise KHatir mein lawen
phire hai shaiKH majlis hi mein raqsan
idhar aa nikle to hum bhi nachawen
nazar ai abr ab mat aa mabaada
kahin meri bhi aankhen DabDabawen
qadam-bosi talak muKHtar hain ghair
ziyaada lag chalen to sar mein khawen
qaf
na aaya wo to kya hum nim-jaan bhi
baghair us ke mile duniya se jawen
chali hai tu to ai jaan-e-alam-nak
Tuk ek rah ja ki hum ruKHsat ho aawen
chala maqdur se gham 'mir' aage
zamin phaT jae ya-rab hum samawen
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0327
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.