muddat hui ki bich mein paigham bhi nahin
muddat huī ki biich meñ paiġhām bhī nahīñ
naame kā us kī mehr se ab naam bhī nahīñ
ayyām-e-hijr kariye basar kis umiid par
milnā unhoñ kā sub.h nahīñ shaam bhī nahīñ
parvā use ho kaahe ko nākām gar marūñ
us kām-e-jāñ ko mujh se to kuchh kaam bhī nahīñ
roveñ is iztirāb-e-dilī ko kahāñ talak
din-rāt ham ko ek dam ārām bhī nahīñ
kyā jānūñ dil ko khīñche haiñ kyoñ sher 'mīr' ke
kuchh tarz aisī bhī nahīñ īhām bhī nahīñ
muddat hui ki bich mein paigham bhi nahin
name ka us ki mehr se ab nam bhi nahin
ayyam-e-hijr kariye basar kis umid par
milna unhon ka subh nahin sham bhi nahin
parwa use ho kahe ko nakaam gar marun
us kaam-e-jaan ko mujh se to kuchh kaam bhi nahin
rowen is iztirab-e-dili ko kahan talak
din-raat hum ko ek dam aaram bhi nahin
kya jaanun dil ko khinche hain kyon sher 'mir' ke
kuchh tarz aisi bhi nahin iham bhi nahin
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0872
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.