mujh zar ne kya garmi-e-bazar se paya
mujh zaar ne kyā garmī-e-bāzār se paayā
kibrīt-namat jin ne liyā mujh ko jalāyā
betāb tah-e-teġh-e-sitam der rahā maiñ
jab tak na ga.ī jaan mujhe sabr na aayā
jaanā falak-e-dūñ ne ki sarsabz huā maiñ
gar ḳhaak se sabza koī pazhmurda ugāyā
us ruḳh ne bahut sūrateñ logoñ kī bigāḌīñ
us qad ne qayāmat kā sā hangāma uThāyā
mat rāh-e-suḳhan de ki phir aaphī tū kahegā
kyoñ maiñ ne mohabbat ke 'abas muñh ko khulāyā
har-chand ki thī rījhne kī jaa.e tire lab
par gāliyāñ diiñ itnī unhoñ se ki rijhāyā
gardish meñ rahā karte haiñ ham diid meñ un kī
āñkhoñ ne tirī ḳhuub samāñ ham ko dikhāyā
kis roz ye andoh-e-jigar-soz thā aage
kab shab lab o yā-rab thī mirī yūñhī ḳhudāyā
din jī ke ulajhne ke hī jhagḌe meñ kaTe hai
raat us ke ḳhayālāt se rahte haiñ qazāyā
kyā kahiye dimāġh us kā ki gul-gasht meñ kal 'mīr'
gul shāḳhoñ se jhuk aa.e the par muñh na lagāyā
mujh zar ne kya garmi-e-bazar se paya
kibrit-namat jin ne liya mujh ko jalaya
betab tah-e-tegh-e-sitam der raha main
jab tak na gai jaan mujhe sabr na aaya
jaana falak-e-dun ne ki sarsabz hua main
gar KHak se sabza koi pazhmurda ugaya
us ruKH ne bahut suraten logon ki bigaDin
us qad ne qayamat ka sa hangama uThaya
mat rah-e-suKHan de ki phir aaphi tu kahega
kyon main ne mohabbat ke 'abas munh ko khulaya
har-chand ki thi rijhne ki jae tere lab
par galiyan din itni unhon se ki rijhaya
gardish mein raha karte hain hum did mein un ki
aankhon ne teri KHub saman hum ko dikhaya
kis roz ye andoh-e-jigar-soz tha aage
kab shab lab o ya-rab thi meri yunhi KHudaya
din ji ke ulajhne ke hi jhagDe mein kaTe hai
raat us ke KHayalat se rahte hain qazaya
kya kahiye dimagh us ka ki gul-gasht mein kal 'mir'
gul shaKHon se jhuk aae the par munh na lagaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1085
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.