munh kiye udhar zard hue jate hain Dar se subuk-saran
muñh kiye ūdhar zard hue jaate haiñ Dar se subuk-sārāñ
kyoñke haiñge is raste meñ ham se aah girāñ-bārāñ
jī to phaTā dekh ā.īna har lauh-e-mazār kā jāma-numā
phaaḌ girebāñ tang-dilī se tark-e-libās kiyā yārāñ
kī hai imārat dil kī jinhoñ ne un kī binā kuchh rakkhī rahī
aur to ḳhāna-ḳharāb hī dekhe is bastī ke me'mārāñ
maiḳhāne meñ is aalam ke laġhzish par mastoñ kī na jā
sukr meñ aksar dekhe ham ne baḌe baḌe yaañ hushiyārāñ
kyā suthrāo shifā-ḳhāne meñ ishq ke jā kar dekhe haiñ
īdhar ūdhar saiñkaḌoñ hī bar-pusht-e-bām the bīmārāñ
bā'd-e-subūhī ghighyāte ghighyāte bāchheñ phaT bhī ga.iiñ
yā-rab hogī qubūl kabhū bhī duā-e-sub.h-e-gunahgārāñ
ishq meñ ham se tum se khapeñ to khap jāveñ ġham kis ko hai
maare ga.e haiñ is maidāñ meñ kyā dil vaale jigar-dārāñ
munh kiye udhar zard hue jate hain Dar se subuk-saran
kyonke hainge is raste mein hum se aah giran-baran
ji to phaTa dekh aaina har lauh-e-mazar ka jama-numa
phaD gireban tang-dili se tark-e-libas kiya yaran
ki hai imarat dil ki jinhon ne un ki bina kuchh rakkhi rahi
aur to KHana-KHarab hi dekhe is basti ke me'maran
maiKHane mein is aalam ke laghzish par maston ki na ja
sukr mein aksar dekhe hum ne baDe baDe yan hushiyaran
kya suthrao shifa-KHane mein ishq ke ja kar dekhe hain
idhar udhar sainkaDon hi bar-pusht-e-baam the bimaran
ba'd-e-subuhi ghighyate ghighyate bachhen phaT bhi gain
ya-rab hogi qubul kabhu bhi dua-e-subh-e-gunahgaran
ishq mein hum se tum se khapen to khap jawen gham kis ko hai
mare gae hain is maidan mein kya dil wale jigar-daran
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1699
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.