munsif jo tu hai kab tain ye dukh uThaiye
munsif jo tū hai kab ta.iiñ ye dukh uThā.iye
kyā kiije merī jaan agar mar na jā.iye
iz.hār-e-rāz-e-ishq kiye bin rahe na ashk
is tifl-e-nā-samajh ko kahāñ tak paḌhā.iye
tum ne jo apne dil se bhulāyā hameñ to kyā
apne ta.iiñ to dil se hamāre bhulā.iye
fikr-e-ma.āsh ya.anī ġham-e-zīst tā-ba-ke
mar jā.iye kahīñ ki Tuk ārām pā.iye
jaate haiñ kaisī kaisī liye dil meñ hasrateñ
Tuk dekhne ko jāñ-ba-laboñ ke bhī aa.iye
loTūñ huuñ jaise ḳhāk-e-chaman par maiñ ai sipahr
gul ko bhī merī ḳhaak pe vūhīñ luTā.iye
hotā nahīñ huuñ hazrat-e-nāseh maiñ be-dimāġh
kar kar ke poch-goī mirī jaan khā.iye
pahuñchā to hogā sam.a-e-mubārak meñ hāl-e-'mīr'
is par bhī jī meñ aave to dil ko lagā.iye
munsif jo tu hai kab tain ye dukh uThaiye
kya kije meri jaan agar mar na jaiye
izhaar-e-raaz-e-ishq kiye bin rahe na ashk
is tifl-e-na-samajh ko kahan tak paDhaiye
tum ne jo apne dil se bhulaya hamein to kya
apne tain to dil se hamare bhulaiye
fikr-e-maash yani gham-e-zist ta-ba-ke
mar jaiye kahin ki Tuk aaram paiye
jate hain kaisi kaisi liye dil mein hasraten
Tuk dekhne ko jaan-ba-labon ke bhi aaiye
loTun hun jaise KHak-e-chaman par main ai sipahr
gul ko bhi meri KHak pe wuhin luTaiye
hota nahin hun hazrat-e-naseh main be-dimagh
kar kar ke poch-goi meri jaan khaiye
pahuncha to hoga sama-e-mubarak mein haal-e-'mir'
is par bhi ji mein aawe to dil ko lagaiye
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0595
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.