mushtaq un labon ke hain sab mard-o-zan tamam
mushtāq un laboñ ke haiñ sab mard-o-zan tamām
daftar likhe ga.e na huā par suḳhan tamām
ab chheḌiye jahāñ vahīñ goyā hai dard sab
phoḌā sā ho gayā hai tire ġham meñ tan tamām
aaya thā garm-e-said vo jīdhar se dasht meñ
dekhā udhar hī girte haiñ ab tak hiran tamām
āvāra gard-bād se the ham pa shahr meñ
kyā ḳhaak meñ milā hai ye dīvāna-pan tamām
kyā lutf-e-tan chhupā hai mire tang-posh kā
uglā paḌe hai jaame se us kā badan tamām
us kār-e-dast-basta pe rījhā na mudda.ī
kyūñkar na kaam apnā kare kohkan tamām
ik gul-zamīñ na vaqfe ke qābil nazar paḌī
dekhā ba-rang-e-āb-e-ravāñ ye chaman tamām
nikle haiñ gul ke rang gulistāñ meñ ḳhaak se
ye ve haiñ us ke ishq ke ḳhūnīñ-kafan tamām
tah sāhiboñ kī aa.ī nikal mai-kade ga.e
girvī the ahl-e-saumi'a ke pairahan tamām
maiñ ḳhaak meñ milā na karūñ kis tarah safar
mujh se ġhubār rakhte haiñ ahl-e-vatan tamām
kuchh hind hī meñ 'mīr' nahīñ log jeb-chāk
hai mere reḳhtoñ kā divāna dakan tamām
mushtaq un labon ke hain sab mard-o-zan tamam
daftar likhe gae na hua par suKHan tamam
ab chheDiye jahan wahin goya hai dard sab
phoDa sa ho gaya hai tere gham mein tan tamam
aaya tha garm-e-said wo jidhar se dasht mein
dekha udhar hi girte hain ab tak hiran tamam
aawara gard-baad se the hum pa shahr mein
kya KHak mein mila hai ye diwana-pan tamam
kya lutf-e-tan chhupa hai mere tang-posh ka
ugla paDe hai jame se us ka badan tamam
us kar-e-dast-basta pe rijha na muddai
kyunkar na kaam apna kare kohkan tamam
ek gul-zamin na waqfe ke qabil nazar paDi
dekha ba-rang-e-ab-e-rawan ye chaman tamam
nikle hain gul ke rang gulistan mein KHak se
ye we hain us ke ishq ke KHunin-kafan tamam
tah sahibon ki aai nikal mai-kade gae
girwi the ahl-e-saumi'a ke pairahan tamam
main KHak mein mila na karun kis tarah safar
mujh se ghubar rakhte hain ahl-e-watan tamam
kuchh hind hi mein 'mir' nahin log jeb-chaak
hai mere reKHton ka diwana dakan tamam
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0859
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.