mutrib ne paDhi thi ghazal ek mir ki shab ko
mutrib ne paḌhī thī ġhazal ik 'mīr' kī shab ko
majlis meñ bahut vajd kī hālat rahī sab ko
phirte haiñ chunāñche liye ḳhuddām silāte
darveshoñ ke pairāhan-e-sad-chāk-e-qasab ko
kyā vaj.h kaheñ ḳhūñ-shudan-e-dil kī piyāre
dekho to ho ā.īne meñ tum jumbish-e-lab ko
barsoñ ta.iiñ jab ham ne taraddud kiye haiñ tab
pahuñchāyā hai aadam ta.iiñ vā'iz ke nasab ko
hai rahm ko bhī raah dil-e-yār meñ baare
jāgah nahīñ yaañ varna kahīñ us ke ġhazab ko
kyā ham se gunahgār haiñ ye sab jo mue haiñ
kuchh pūchho na us shoḳh kī ranjish ke sabab ko
dil dene se is tarh ke jī kaash ke dete
yuuñ khīñche koī kab ta.iiñ is ranj-o-ta'ab ko
hairat hai ki hai mudda’ī-e-mā’rifat ik ḳhalq
kuchh ham ne to paayā nahīñ ab tak tire Dhab ko
hogā kisū dīvār ke saa.e meñ paḌā 'mīr'
kyā rabt mohabbat se us ārām-talab ko
mutrib ne paDhi thi ghazal ek 'mir' ki shab ko
majlis mein bahut wajd ki haalat rahi sab ko
phirte hain chunanche liye KHuddam silate
darweshon ke pairahan-e-sad-chaak-e-qasab ko
kya wajh kahen KHun-shudan-e-dil ki piyare
dekho to ho aaine mein tum jumbish-e-lab ko
barson tain jab hum ne taraddud kiye hain tab
pahunchaya hai aadam tain wa'iz ke nasab ko
hai rahm ko bhi rah dil-e-yar mein bare
jagah nahin yan warna kahin us ke ghazab ko
kya hum se gunahgar hain ye sab jo mue hain
kuchh puchho na us shoKH ki ranjish ke sabab ko
dil dene se is tarh ke ji kash ke dete
yun khinche koi kab tain is ranj-o-ta'ab ko
hairat hai ki hai mudda’i-e-ma’rifat ek KHalq
kuchh hum ne to paya nahin ab tak tere Dhab ko
hoga kisu diwar ke sae mein paDa 'mir'
kya rabt mohabbat se us aaram-talab ko
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0930
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.