na kar shauq-kushton se jaane ki baaten
na kar shauq-kushtoñ se jaane kī bāteñ
nahīñ ātīñ kyā tujh ko aane kī bāteñ
samājat jo kī bos-e-lab par to bolā
nahīñ ḳhuub ye maar khāne kī bāteñ
zabāneñ badalte haiñ har aan ḳhūbāñ
ye sab kuchh haiñ bigḌe zamāne kī bāteñ
nazar jab karo zer-e-lab kuchh kahe hai
kaho yaar ke āstāne kī bāteñ
sahī jaa.e gaalī agar dostī ho
burī bhī bhalī haiñ lagāne kī bāteñ
hameñ dair-o-ka.abe se kyā guftugū hai
chalī jaatī haiñ ye siyāne kī bāteñ
bigaḌ bhī chuke yaar se ham to yaaro
karo kuchh ab us se banāne kī bāteñ
kiyā sair kal maiñ ne dīvān-e-majnūñ
ḳhush aa.iiñ bahut us divāne kī bāteñ
bahut harza-goī kī yaañ 'mīr' sāhib
karo vaañ ke kuchh muñh dikhāne kī bāteñ
na kar shauq-kushton se jaane ki baaten
nahin aatin kya tujh ko aane ki baaten
samajat jo ki bos-e-lab par to bola
nahin KHub ye mar khane ki baaten
zabanen badalte hain har aan KHuban
ye sab kuchh hain bigDe zamane ki baaten
nazar jab karo zer-e-lab kuchh kahe hai
kaho yar ke aastane ki baaten
sahi jae gali agar dosti ho
buri bhi bhali hain lagane ki baaten
hamein dair-o-kabe se kya guftugu hai
chali jati hain ye siyane ki baaten
bigaD bhi chuke yar se hum to yaro
karo kuchh ab us se banane ki baaten
kiya sair kal main ne diwan-e-majnun
KHush aain bahut us diwane ki baaten
bahut harza-goi ki yan 'mir' sahib
karo wan ke kuchh munh dikhane ki baaten
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1189
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.