na nikla dusra waisa jahan mein
na niklā dūsrā vaisā jahāñ meñ
vahī ik jins hai is kārvāñ meñ
kiyā muñh band sab kā baat kahte
balā kuchh sehr hai us kī zabāñ meñ
agar vo but na jaane to na jaane
hameñ sab jaane haiñ hindostāñ meñ
nayā ānan-fa-ānan us ko dekhā
judā thī shaan us kī har zamāñ meñ
khiñchī rahtī hai us abrū-e-ḳham se
koī kyā shāḳh niklī hai kamāñ meñ
jabīñ par chiin rahtī hai hamesha
balā kiina hai apne mehrbāñ meñ
nayā hai kyā shagūfa ye ki aksar
rahā hai phuul paḌtā gulsitāñ meñ
koī bijlī kā TukḌā ab talak bhī
paḌā hogā hamāre āshiyāñ meñ
phire hai chhāntā hī ḳhaak ai 'mīr'
havas kyā hai mizāj-e-āsmāñ meñ
na nikla dusra waisa jahan mein
wahi ek jins hai is karwan mein
kiya munh band sab ka baat kahte
bala kuchh sehr hai us ki zaban mein
agar wo but na jaane to na jaane
hamein sab jaane hain hindostan mein
naya aanan-fa-anan us ko dekha
juda thi shan us ki har zaman mein
khinchi rahti hai us abru-e-KHam se
koi kya shaKH nikli hai kaman mein
jabin par chin rahti hai hamesha
bala kina hai apne mehrban mein
naya hai kya shagufa ye ki aksar
raha hai phul paDta gulsitan mein
koi bijli ka TukDa ab talak bhi
paDa hoga hamare aashiyan mein
phire hai chhanta hi KHak ai 'mir'
hawas kya hai mizaj-e-asman mein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0866
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.