nagah jis ko ishq ka aazar ho gaya
nāgāh jis ko 'ishq kā āzār ho gayā
sahl aage us ke murdan-e-dushvār ho gayā
hai husn kyā matā' ki jis ko nazar paḌī
vo jaan bech kar bhī ḳharīdār ho gayā
barsoñ ta.iiñ jahān meñ kyūñkar rahā hai ḳhizr
maiñ chaar din meñ jiine se bezār ho gayā
ham-bistarī bin us kī maiñ sāhab-farāsh huuñ
hijrāñ meñ kuḌhte kuḌhte hī bīmār ho gayā
ham-dām the so chhuT ga.e sab daam ke uThe
thī dil ko mere choT giraftār ho gayā
us kī nigāh-e-mast kā khāyā hī thā fareb
par shaiḳh tarz dekh ke hushiyār ho gayā
kyā muttaqī thā 'mīr' par ā.īn-e-‘ishq meñ
mujrim sā kusht-o-ḳhūñ kā sazā-vār ho gayā
nagah jis ko 'ishq ka aazar ho gaya
sahl aage us ke murdan-e-dushwar ho gaya
hai husn kya mata' ki jis ko nazar paDi
wo jaan bech kar bhi KHaridar ho gaya
barson tain jahan mein kyunkar raha hai KHizr
main chaar din mein jine se bezar ho gaya
ham-bistari bin us ki main sahab-farash hun
hijran mein kuDhte kuDhte hi bimar ho gaya
ham-dam the so chhuT gae sab dam ke uThe
thi dil ko mere choT giraftar ho gaya
us ki nigah-e-mast ka khaya hi tha fareb
par shaiKH tarz dekh ke hushiyar ho gaya
kya muttaqi tha 'mir' par aain-e-‘ishq mein
mujrim sa kusht-o-KHun ka saza-war ho gaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1552
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.