nahin wo qaid ulfat mein giraftari ko kya jaane
nahīñ vo qaid ulfat meñ giraftārī ko kyā jaane
takalluf-bar-taraf be-mehr hai yaarī ko kyā jaane
vahī ik mundaris naala mubārak murġh-e-gulshan ko
vo is tarkīb-e-nau kī nāla-o-zārī ko kyā jaane
paḌe āsūdgān-e-ḳhāk chauñko shor-e-mahshar se
marā jo koī be-ḳhud hai vo hushyārī ko kyā jaane
sitam hai terī ḳhū-e-ḳhashmagīñ par Tuk bhī dil-jūī
dil-āzārī kī bāteñ kar tū dildārī ko kyā jaane
gila apnī jafā kā sun ke mat āzurda ho zālim
nahīñ tohmat hai tujh par tū jafā-kārī ko kyā jaane
pareshāñ fauj-fauj-e-laḳht-e-dil nikle hai āñkhoñ se
nipaT nādāñ hai
tirā ibrām us kī sādgī par 'mīr' maiñ maanā
bhalā aisā jo nādāñ ho vo ‘ayyārī ko kyā jaane
nahin wo qaid ulfat mein giraftari ko kya jaane
takalluf-bar-taraf be-mehr hai yari ko kya jaane
wahi ek mundaris nala mubarak murgh-e-gulshan ko
wo is tarkib-e-nau ki nala-o-zari ko kya jaane
paDe aasudgan-e-KHak chaunko shor-e-mahshar se
mara jo koi be-KHud hai wo hushyari ko kya jaane
sitam hai teri KHu-e-KHashmagin par Tuk bhi dil-jui
dil-azari ki baaten kar tu dildari ko kya jaane
gila apni jafa ka sun ke mat aazurda ho zalim
nahin tohmat hai tujh par tu jafa-kari ko kya jaane
pareshan fauj-fauj-e-laKHt-e-dil nikle hai aankhon se
nipaT nadan hai
tera ibram us ki sadgi par 'mir' main mana
bhala aisa jo nadan ho wo ‘ayyari ko kya jaane
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0505
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.