nikle hai ji ka rasta aawaz ki rukan se
nikle hai jī kā rasta āvāz kī rukan se
āzurda ho na bulbul jaate haiñ ham chaman se
jī ġhash kare hai ab to raftār dekh us kī
dekheñ nibhe hai apnī kis taur us chalan se
gar us kī or koī garmī se dekhtā hai
ik aag lag uThe hai apne to tan-badan se
rangīñ-ḳhirāmī kyā kyā letī hai khīñch dil ko
kyā naqsh-e-pā ko us ke nisbat gul-o-saman se
din-rāt gāh-o-be-gah jab dekho haiñ safar meñ
ham kis ghaḌī vidā.ī yā-rab hue vatan se
dil-soḳhta huuñ mujh ko taklīf-e-harf mat kar
ik aag kī lapaT sī nikle hai har suḳhan se
dil kā asiir honā jī 'mīr' jāntā hai
kyā pech-pāch dekhe us zulf-e-pur-shikan se
nikle hai ji ka rasta aawaz ki rukan se
aazurda ho na bulbul jate hain hum chaman se
ji ghash kare hai ab to raftar dekh us ki
dekhen nibhe hai apni kis taur us chalan se
gar us ki or koi garmi se dekhta hai
ek aag lag uThe hai apne to tan-badan se
rangin-KHirami kya kya leti hai khinch dil ko
kya naqsh-e-pa ko us ke nisbat gul-o-saman se
din-raat gah-o-be-gah jab dekho hain safar mein
hum kis ghaDi widai ya-rab hue watan se
dil-soKHta hun mujh ko taklif-e-harf mat kar
ek aag ki lapaT si nikle hai har suKHan se
dil ka asir hona ji 'mir' jaanta hai
kya pech-pach dekhe us zulf-e-pur-shikan se
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1306
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.