paDa hai farq KHurd-o-KHwab mein ab
paḌā hai farq ḳhurd-o-ḳhvāb meñ ab
rahā hai kyā dil-e-betāb meñ ab
junūñ meñ ab ke nai dāman hai nai jeb
kamī aa.ī bahut asbāb meñ ab
huā hai ḳhvāb milnā us se shab kā
kabhū aatā hai vo mah ḳhvāb meñ ab
gadā.ī lī hai maiñ ne us ke dar kī
kahe kyā dekhūñ mere baab meñ ab
gale lagne bin us ke itnā ro.e
ki ham haiñge gale tak aab meñ ab
kahāñ bal khaa.e baal us ke kahāñ ye
abas sumbul hai pech-o-tāb meñ ab
balā charchā hai mere ishq kā 'mīr'
yahī hai zikr shaiḳh-o-shāb meñ ab
paDa hai farq KHurd-o-KHwab mein ab
raha hai kya dil-e-betab mein ab
junun mein ab ke nai daman hai nai jeb
kami aai bahut asbab mein ab
hua hai KHwab milna us se shab ka
kabhu aata hai wo mah KHwab mein ab
gadai li hai main ne us ke dar ki
kahe kya dekhun mere bab mein ab
gale lagne bin us ke itna roe
ki hum hainge gale tak aab mein ab
kahan bal khae baal us ke kahan ye
abas sumbul hai pech-o-tab mein ab
bala charcha hai mere ishq ka 'mir'
yahi hai zikr shaiKH-o-shab mein ab
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1110
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.