pand-go mushfiq abas mera nasihat-gar hua
pand-go mushfiq abas merā nasīhat-gar huā
saḳhtiyāñ jo maiñ bahut khīñchīñ so dil patthar huā
gaaḌ kar miTTī meñ rū-e-ijz kyā ham hī muue
ḳhuun us ke rahguzar kī ḳhaak par aksar huā
ab uThā jaatā nahīñ mujh paas phir Tuk baiTh kar
gird us ke jo phirā sar ko mire chakkar huā
kab khubā jaatā thā yuuñ āñkhoñ meñ jaisā sub.h thā
phuul ḳhush-rang aur us ke farsh par bichh kar huā
kyā sunī tum ne nahīñ bad-halī-e-farhād-o-qais
kaun sā bīmār dil kā aaj tak behtar huā
kaun kartā hai taraf mujh āshiq-e-betāb kī
sūrat-e-ḳhush jin ne dekhī us kī so ūdhar huā
jal gayā yāqūt us ke la.al-e-lab jab hil ga.e
gauhar-e-ḳhush-āb andāz-e-suḳhan se tar huā
kyā kahūñ ab ke junūñ meñ ghar kā bhī rahnā gayā
kaam jo mujh se huā so aql se bāhar huā
shab na kartā shor us kūche meñ gar maiñ jāntā
us kī be-ḳhvābī se hangāma mire sar par huā
hove yā-rab un siyah-rū āñkhoñ kā ḳhāna-ḳharāb
yak nazar karte hī mere dil meñ us kā ghar huā
ustuḳhvāñ sab post se siine ke aate haiñ nazar
ishq meñ un nau-ḳhatoñ ke 'mīr' maiñ mistar huā
pand-go mushfiq abas mera nasihat-gar hua
saKHtiyan jo main bahut khinchin so dil patthar hua
gaD kar miTTi mein ru-e-ijz kya hum hi mue
KHun us ke rahguzar ki KHak par aksar hua
ab uTha jata nahin mujh pas phir Tuk baiTh kar
gird us ke jo phira sar ko mere chakkar hua
kab khuba jata tha yun aankhon mein jaisa subh tha
phul KHush-rang aur us ke farsh par bichh kar hua
kya suni tum ne nahin bad-hali-e-farhad-o-qais
kaun sa bimar dil ka aaj tak behtar hua
kaun karta hai taraf mujh aashiq-e-betab ki
surat-e-KHush jin ne dekhi us ki so udhar hua
jal gaya yaqut us ke lal-e-lab jab hil gae
gauhar-e-KHush-ab andaz-e-suKHan se tar hua
kya kahun ab ke junun mein ghar ka bhi rahna gaya
kaam jo mujh se hua so aql se bahar hua
shab na karta shor us kuche mein gar main jaanta
us ki be-KHwabi se hangama mere sar par hua
howe ya-rab un siyah-ru aankhon ka KHana-KHarab
yak nazar karte hi mere dil mein us ka ghar hua
ustuKHwan sab post se sine ke aate hain nazar
ishq mein un nau-KHaton ke 'mir' main mistar hua
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0752
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.