phiriye kab tak shahr mein ab su-e-sahra ru kiya
phiriye kab tak shahr meñ ab sū-e-sahrā rū kiyā
kaam apnā is junūñ meñ ham ne bhī yaksū kiyā
ishq ne kyā kyā tasarruf yaañ kiye haiñ āj-kal
chashm ko paanī kiyā sab dil ko sab lohū kiyā
nik.hat-e-ḳhush us ke pinDe kī sī aatī hai mujhe
is sabab gul ko chaman ke der maiñ ne bū kiyā
kaam meñ qudrat ke kuchh bolā nahīñ jaatā hai haa.e
ḳhūb-rū us ko kiyā lekin bahut bad-ḳhū kiyā
jaanā is ārām-gah se hai ba-ainih bas yahī
jaise sote sote īdhar se udhar pahlū kiyā
'uzlatī islām ke kyā kyā phire haiñ jeb-chāk
tū ne maa.il kyoñ udhar ko gosha-e-abrū kiyā
vo utū-kash kā mujhī par kyā hai sargarm-e-jafā
maare talvāroñ ke un ne bahutoñ ko uttū kiyā
haath par rakh haath ab vo do qadam chaltā nahīñ
jin ne bālish ḳhvāb kā barsoñ mirā baazū kiyā
phuul nargis kā liye bhīchak khaḌā thā raah meñ
kis kī chashm-e-pur-fusūñ ne 'mīr' ko jaadū kiyā
phiriye kab tak shahr mein ab su-e-sahra ru kiya
kaam apna is junun mein hum ne bhi yaksu kiya
ishq ne kya kya tasarruf yan kiye hain aaj-kal
chashm ko pani kiya sab dil ko sab lohu kiya
nikhat-e-KHush us ke pinDe ki si aati hai mujhe
is sabab gul ko chaman ke der main ne bu kiya
kaam mein qudrat ke kuchh bola nahin jata hai hae
KHub-ru us ko kiya lekin bahut bad-KHu kiya
jaana is aaram-gah se hai ba-ainih bas yahi
jaise sote sote idhar se udhar pahlu kiya
'uzlati islam ke kya kya phire hain jeb-chaak
tu ne mail kyon udhar ko gosha-e-abru kiya
wo utu-kash ka mujhi par kya hai sargarm-e-jafa
mare talwaron ke un ne bahuton ko uttu kiya
hath par rakh hath ab wo do qadam chalta nahin
jin ne baalish KHwab ka barson mera bazu kiya
phul nargis ka liye bhichak khaDa tha rah mein
kis ki chashm-e-pur-fusun ne 'mir' ko jadu kiya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0713
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.