poshida kya rahe hai qudrat-numai-e-dil
poshīda kyā rahe hai qudrat-numā.ī-e-dil
dekhī na be-sutūñ meñ zor-āzmā.ī-e-dil
hai tiira ye bayābāñ gard-o-ġhubār se sab
de raah kab dikhā.ī be-rahnumā.ī-e-dil
andoh-o-ġham se aksar rahtā huuñ maiñ mukaddar
kyā ḳhaak meñ milī hai merī safā.ī-e-dil
pesh aave koī sūrat muñh moḌte nahīñ ve
ā.īna-sāñ jinheñ hai kuchh āshnā.ī-e-dil
mar to nahīñ gayā maiñ par jī hī jāntā hai
guzre hai shaaq mujh par jaisī judā.ī-e-dil
is dām-gah meñ us ke saare fareb hī haiñ
aatī nahīñ nazar kuchh mujh ko rihā.ī-e-dil
gar rang hai chalā hai var bū hai to havā hai
kah 'mīr' is chaman meñ kis se lagā.iye dil
poshida kya rahe hai qudrat-numai-e-dil
dekhi na be-sutun mein zor-azmai-e-dil
hai tera ye bayaban gard-o-ghubar se sab
de rah kab dikhai be-rahnumai-e-dil
andoh-o-gham se aksar rahta hun main mukaddar
kya KHak mein mili hai meri safai-e-dil
pesh aawe koi surat munh moDte nahin we
aaina-san jinhen hai kuchh aashnai-e-dil
mar to nahin gaya main par ji hi jaanta hai
guzre hai shaq mujh par jaisi judai-e-dil
is dam-gah mein us ke sare fareb hi hain
aati nahin nazar kuchh mujh ko rihai-e-dil
gar rang hai chala hai war bu hai to hawa hai
kah 'mir' is chaman mein kis se lagaiye dil
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0851
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.