qayamat tha saman us KHashmagin par
qayāmat thā samāñ us ḳhashmagīñ par
ki talvāreñ chalīñ abrū kī chiiñ par
na dekhā āḳhir us ā.īna-rū ne
nazar se bhī nigāh-e-vāpsīñ par
ga.e din ijz-o-nāla ke ki ab hai
dimāġh-e-nāla charḳh-e-haftumīñ par
huā hai haath guldasta hamārā
ki dāġh-e-ḳhūñ bahut hai āstīñ par
ḳhudā jaane ki kyā ḳhvāhish hai jī ko
nazar apnī nahīñ hai mehr-o-kīñ par
par-afshānī qafas hī kī bahut hai
ki parvāz-e-chaman-qābil nahīñ par
qaaf
jigar meñ apne baaqī rote rote
agarche kuchh nahīñ ai ham-nashīñ par
kabhū jo aañkh se chalte haiñ aañsū
to bhar jaatā hai paanī sab zamīñ par
qadam dasht-e-mohabbat meñ na rakh 'mīr'
ki sar jaatā hai gām-e-avvalīñ par
qayamat tha saman us KHashmagin par
ki talwaren chalin abru ki chin par
na dekha aaKHir us aaina-ru ne
nazar se bhi nigah-e-wapsin par
gae din ijz-o-nala ke ki ab hai
dimagh-e-nala charKH-e-haftumin par
hua hai hath guldasta hamara
ki dagh-e-KHun bahut hai aastin par
KHuda jaane ki kya KHwahish hai ji ko
nazar apni nahin hai mehr-o-kin par
par-afshani qafas hi ki bahut hai
ki parwaz-e-chaman-qabil nahin par
qaf
jigar mein apne baqi rote rote
agarche kuchh nahin ai ham-nashin par
kabhu jo aankh se chalte hain aansu
to bhar jata hai pani sab zamin par
qadam dasht-e-mohabbat mein na rakh 'mir'
ki sar jata hai gam-e-awwalin par
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0210
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.