rah ki baat kahen hum kis se be-tah yan aksar hain log
raah kī baat kaheñ ham kis se be-tah yaañ aksar haiñ log
sargarm-e-be-rāh-ravī haiñ ḳhud gum be-rahbar haiñ log
bad-tar aap se pā.ūñ kisū ko to maiñ us kā aib kahūñ
ḳhuub ta.ammul kartā huuñ to sab mujh se behtar haiñ log
dīvāne haiñ shahr-e-vafā kī rāh-o-rasm ke ham to 'mīr'
dil ke kahe jī dene vaale qātibatan ghar ghar haiñ log
rah ki baat kahen hum kis se be-tah yan aksar hain log
sargarm-e-be-rah-rawi hain KHud gum be-rahbar hain log
bad-tar aap se paun kisu ko to main us ka aib kahun
KHub tammul karta hun to sab mujh se behtar hain log
diwane hain shahr-e-wafa ki rah-o-rasm ke hum to 'mir'
dil ke kahe ji dene wale qatibatan ghar ghar hain log
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1666
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.