rafta-e-ishq kya hun main ab ka
rafta-e-ishq kyā huuñ maiñ ab kā
jā chukā huuñ jahān se kab kā
log jab zikr-e-yār karte haiñ
dekh rahtā huuñ der muñh sab kā
mast rahtā huuñ jab se hosh aaya
maiñ bhī āshiq huuñ apne mashrab kā
ham to nākām hī chale yaañ se
tum ko hogā vasūl matlab kā
dars kahiye junūñ kā to majnūñ
apne aage hai tifl maktab kā
la.al kī baat kaun suntā hai
shor hai zor yaar ke lab kā
zulf sā pechdār hai har sher
hai suḳhan 'mīr' kā ajab Dhab kā
rafta-e-ishq kya hun main ab ka
ja chuka hun jahan se kab ka
log jab zikr-e-yar karte hain
dekh rahta hun der munh sab ka
mast rahta hun jab se hosh aaya
main bhi aashiq hun apne mashrab ka
hum to nakaam hi chale yan se
tum ko hoga wasul matlab ka
dars kahiye junun ka to majnun
apne aage hai tifl maktab ka
lal ki baat kaun sunta hai
shor hai zor yar ke lab ka
zulf sa pechdar hai har sher
hai suKHan 'mir' ka ajab Dhab ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1316
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.