rahte the hum we aaTh pahar ya to pas pas
rahte the ham ve aaTh pahar yā to paas paas
yā ab phaTak nahīñ hai kahīñ un ke ās-pās
tā log bad-gumāñ na hoñ aa.e na us kī or
ham to kiyā hai ishq meñ dūr-az-qayās paas
gir hī paḌe jo dekhe hai tinkā bhī gar kahīñ
maaya nahīñ hai kuchh falak-e-be-sipās paas
shaiḳh un laboñ ke bose ko is riish se na jhak
rakhtā hai kaun ātish-e-sozinda ghaas paas
tum ne to qadr kī hai matā-e-vafā kī ḳhuub
becheñge ab ye jins kisū dil-shanās paas
ālūda kar na mastī se jaame ko jism ke
hushiyār rah ye āriyatī hai libās paas
vahshī hai 'mīr' rabt hai us se ḳhilāf-e-aql
baiThe so jā ke kyā koī aise udaas paas
rahte the hum we aaTh pahar ya to pas pas
ya ab phaTak nahin hai kahin un ke aas-pas
ta log bad-guman na hon aae na us ki or
hum to kiya hai ishq mein dur-az-qayas pas
gir hi paDe jo dekhe hai tinka bhi gar kahin
maya nahin hai kuchh falak-e-be-sipas pas
shaiKH un labon ke bose ko is rish se na jhak
rakhta hai kaun aatish-e-sozinda ghas pas
tum ne to qadr ki hai mata-e-wafa ki KHub
bechenge ab ye jins kisu dil-shanas pas
aaluda kar na masti se jame ko jism ke
hushiyar rah ye aariyati hai libas pas
wahshi hai 'mir' rabt hai us se KHilaf-e-aql
baiThe so ja ke kya koi aise udas pas
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0824
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.