rakho mat sar chaDhae dilbaron ke gundhe baalon ko
rakho mat sar chaḌhā.e dilbaroñ ke gūñdhe bāloñ ko
khilānā kholnā mushkil bahut hai aise kāloñ ko
uḌāyā ġham ne un ke sūkhe pattoñ kī ravish ham ko
ilāhī sabz rakhiyo bāġh-e-ḳhūbī ke nihāloñ ko
jahāñ dekho kahā karte haiñ us ke ishq ke ġham meñ
na ham do-chār baiThe dil-shikaste apne hāloñ ko
na chashm-e-kam se mujh darvesh kī āvārgī dekho
tabarruk karte haiñ kāñTe mire paañv ke chhāloñ ko
kare hai jis pe bulbul ġhash so ye us jins kī qīmat
nahīñ afsos āñkheñ be-haqīqat phuul vāloñ ko
dil-e-āshiq ko rū kyā jānūñ ḳhūbāñ kyoñ nahīñ dete
bahut ā.īne se to rabt hai sāhib-jamāloñ ko
yahī kuchh vahm sī hai sahl kab aa.e qayāsoñ meñ
tafakkur us kamar kā khā gayā nāzuk-ḳhayāloñ ko
na aisī tarz-e-dīdan hai na hirnoñ kī ye chitvan hai
kabhū jangal meñ le chaliyegā in shahrī ġhazāloñ ko
koī bhī is tarah se apne jī par khel jaatā hai
magar bāzīcha samjhe 'mīr' ishq-e-ḳhurd-sāloñ ko
rakho mat sar chaDhae dilbaron ke gundhe baalon ko
khilana kholna mushkil bahut hai aise kalon ko
uDaya gham ne un ke sukhe patton ki rawish hum ko
ilahi sabz rakhiyo bagh-e-KHubi ke nihaalon ko
jahan dekho kaha karte hain us ke ishq ke gham mein
na hum do-chaar baiThe dil-shikaste apne haalon ko
na chashm-e-kam se mujh darwesh ki aawargi dekho
tabarruk karte hain kanTe mere panw ke chhaalon ko
kare hai jis pe bulbul ghash so ye us jins ki qimat
nahin afsos aankhen be-haqiqat phul walon ko
dil-e-ashiq ko ru kya jaanun KHuban kyon nahin dete
bahut aaine se to rabt hai sahib-jamalon ko
yahi kuchh wahm si hai sahl kab aae qayason mein
tafakkur us kamar ka kha gaya nazuk-KHayalon ko
na aisi tarz-e-didan hai na hirnon ki ye chitwan hai
kabhu jangal mein le chaliyega in shahri ghazalon ko
koi bhi is tarah se apne ji par khel jata hai
magar bazicha samjhe 'mir' ishq-e-KHurd-salon ko
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1235
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.