rasate ho aate ho ahl-e-hawas mein
rasāte ho aate ho ahl-e-havas meñ
maza ras meñ hai loge kyā tum kuras meñ
darā meñ kahāñ shor aisā dharā thā
kisū kā magar dil rakhā thā jaras meñ
hameñ ishq meñ bekasī bebasī hai
na dushman bhī ho dostī ke to bas meñ
na rah mutma.in tasma-bāz-e-falak se
daġhā se ye bahutoñ ke khīñche hai tasmeñ
bahut ro.e parde meñ jab dīda-e-tar
huī achchhī barsāt tab is baras meñ
tan-e-zard-o-lāġhar meñ zāhir rageñ haiñ
bharā hai magar ishq ik ek nas meñ
mohabbat vafā mahr karte the bāham
uThā dī haiñ ve tum ne ab saarī rasmeñ
tumheñ rabt logoñ se har qism ke hai
na khāyā karo jhūTī jhūTī to qasmeñ
havā hī ko dekheñ haiñ ai 'mīr' asīrāñ
lagā deñ magar āñkheñ chāk-e-qafas meñ
rasate ho aate ho ahl-e-hawas mein
maza ras mein hai loge kya tum kuras mein
dara mein kahan shor aisa dhara tha
kisu ka magar dil rakha tha jaras mein
hamein ishq mein bekasi bebasi hai
na dushman bhi ho dosti ke to bas mein
na rah mutmain tasma-baz-e-falak se
dagha se ye bahuton ke khinche hai tasmen
bahut roe parde mein jab dida-e-tar
hui achchhi barsat tab is baras mein
tan-e-zard-o-laghar mein zahir ragen hain
bhara hai magar ishq ek ek nas mein
mohabbat wafa mahr karte the baham
uTha di hain we tum ne ab sari rasmen
tumhein rabt logon se har qism ke hai
na khaya karo jhuTi jhuTi to qasmen
hawa hi ko dekhen hain ai 'mir' asiran
laga den magar aankhen chaak-e-qafas mein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1686
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.