riha hona nahin imkan in tarkib walon se
rihā honā nahīñ imkān in tarkīb vāloñ se
ki bal de bāñdhte haiñ pech pagḌī ke bhī bāloñ se
tujhe nisbat jo dete haiñ sharār-o-barq-o-sho.ale se
tasallī karte haiñ nā-chār shā.ir in misāloñ se
balā kā shukr kar ai dil ki ab ma.alūm hotī hai
haqīqat āfiyat kī is galī ke rahne vāloñ se
nahīñ ai ham-nafas ab jī meñ tāqat dūrī-e-gul kī
jigar TukḌe huā jaatā hai āḳhir shab ke nāloñ se
nahīñ ḳhālī asar se tasfiya dil kā mohabbat meñ
ki ā.īne ko rabt-e-ḳhās hai sāhib-jamāloñ se
kahāñ ye qāmat-e-dilkash kahāñ pākīzgī aisī
mile haiñ ham bahut gulzār ke nāzuk nihāloñ se
hadaf us kā hue muddat huī siine ko par ab tak
guthā nikle hai laḳht-e-dil mirā tīroñ ke bhāloñ se
huā pīrāna-sar āshiq ho zāhid maz.haka sab kā
kuhan-sālī meñ miltā hai koī bhī ḳhurd-sāloñ se
rag-e-gul koī kahtā hai koī ai 'mīr' mū us ko
kamar us shoḳh kī bañdhtī nahīñ in ḳhush-ḳhayāloñ se
riha hona nahin imkan in tarkib walon se
ki bal de bandhte hain pech pagDi ke bhi baalon se
tujhe nisbat jo dete hain sharar-o-barq-o-shoale se
tasalli karte hain na-chaar shair in misalon se
bala ka shukr kar ai dil ki ab malum hoti hai
haqiqat aafiyat ki is gali ke rahne walon se
nahin ai ham-nafas ab ji mein taqat duri-e-gul ki
jigar TukDe hua jata hai aaKHir shab ke nalon se
nahin KHali asar se tasfiya dil ka mohabbat mein
ki aaine ko rabt-e-KHas hai sahib-jamalon se
kahan ye qamat-e-dilkash kahan pakizgi aisi
mile hain hum bahut gulzar ke nazuk nihaalon se
hadaf us ka hue muddat hui sine ko par ab tak
gutha nikle hai laKHt-e-dil mera tiron ke bhaalon se
hua pirana-sar aashiq ho zahid mazhaka sab ka
kuhan-sali mein milta hai koi bhi KHurd-salon se
rag-e-gul koi kahta hai koi ai 'mir' mu us ko
kamar us shoKH ki bandhti nahin in KHush-KHayalon se
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0477
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.